Monday, July 27, 2009

ZINDAGI KA YE MORE

Zindagi ki kis mor par aa khare hain hum,

Uski ek aahat se nind khulti hai,

Dhundta hun har or usko, kahin chhipkar mand-mand wo hasti hai.

Phir wo pas aati hai, mere balon ko sahlati hai,

Madhosh sa ho jata hun main, nind mein phir so jata hun main.

Par sabere jab nind khulti hai , mere aankhe use hi dhundti hai.

Kash tham leta main banh uski, sapno se nahi jane deta,

Uske sparsh mein yun sudh-budh kho kar,kash nind nahi aane deta.
Mangta hun Rab se bas itni dua,

Ki meri zindagi mein de dena ek pal,

Ki Uski god mein soya rahun, aur bas bit jaye jivan ke sab pal.

Aur bas god mein uske sar rakhkar bit jaye jivan ke sab pal !!!

No comments:

Post a Comment