Saturday, November 23, 2013

hum to ek pal bhi tumko na bhul paye .... 
kabhi tum yaad aaye, kabhi tumhari baatein yaad aayi

Tuesday, November 19, 2013

Ishq me do martava bhuchal aata hai
Jab dil mil jata hai, aur jab dil tut jata hai

Monday, October 28, 2013

Jindagi ke do pal bhi Kam nahi,
Agar sath tum ho

Wednesday, October 2, 2013

juba pe aate-aate reh jati hai, mere dil ki baatein ....
kar sako to ehshasho me mehsus kar lena

Wednesday, September 11, 2013

dekh lu mai aakhiri bar ji bhar ke tumhe,
pata nahi fir hum mile na mile

Thursday, September 5, 2013

Aankh khuli to laga jaise ki tum samne ho,
Kar lene ko aalingan barh gayi bahe,
Par tumhara hona ek bhram tha,
Bhram hamare rishte ki tarah, Jo hai bhi aur nahi bhi

Wednesday, September 4, 2013

Aao saja du tumhari aankho me aaj koi sapna,
Tum rani ban jao, mai raja ban Jaun.
Sama jao fir ek bar meri baho me,
Kho jaun ek bar fir SE mai tumhari sanso me
Fir usi jheel ke kinare gaye hum tum pyar ka nagma,,
Aao saja du tumhari aankho me aaj koi sapna,
Tum rani ban jao, mai raja ban Jaun.

Monday, September 2, 2013

Tum se Jo bichhar jayenge, hum mar jayenge.
Sach kehte hain hum, tutke bikhar jayenge, 

hum mar jayenge,
Tum se Jo bichhar jayenge

Monday, August 19, 2013

baya nahi ho sakta meri mohabbat kisi sabdo me,
pass baitho to nazaro se baya kar du.

Monday, August 12, 2013

Mujhe tumse kuchh kehna hai,
tum sochoge .. itni raat ..
kya karu, nind nahi aa rahi,
bahut yaad aa rahi hai tumhari.
chalo thik hai tum so jao,
kal jab jagoge to bataunga ki kya kya socha maine jagti aankho se.
kitni bar chuma tumko khayalo me.
kal tum bhi batana ki kya tumne kabhi aisi raat bitayi hai,
........

Sunday, August 4, 2013

Kai bar sochta hu,
Kitne fasle hain hamare darmian, hajaro milo ki duriya, 

aur na mil pane ki majburiya bhi.
Par kitne pass ho tum meri ehsasho me,
Apne dil me basa rakkha hai tumhe

Friday, August 2, 2013

Yu to nind na aayegi meri aankho me,
Gar aayi bhi to, dekhna tumhe hi chahunga apni khwabo me

Tuesday, July 30, 2013

biwi ka phone ki ghar jaldi aao,
idhar boss aankhe charhaye ki kam pehle niptao.
chak ke 2 pato ke bich fans gaya hu,
dosto aajkal isliye facebook se bhi kat gaya hu.
duri bhi jaruri hai, aashiqui aur mohabbat me ..... 
pass aake aksar bewafa ho jate hain log

Friday, July 26, 2013

Aye dil tu hi bata, jana hai kidhar
...............
Rasta idhar bhi hai aur udhar bhi,
Par pata nahi manjil hai kidhar,
Aye dil tu hi bata, jana hai kidhar .

Thursday, July 25, 2013

kal raat tumhe sochte sochte, kab so gaya pata na chala ..
aur tum aa bhi gaye meri baho me.......... mere khwab me

Sunday, July 21, 2013

Sab kuchh to tha jindagi me, 
nasur-e-bewafai ke siwa,
Aaj jindagi muqammal ho gayi

Saturday, July 20, 2013

Jindagi hai, jiya chala jata hu
log milte hain ... bichhar jate hain ..
kuchh achshi, kuchh karwi yaaden chhor jate hain ..
sametke sari yaado ko apne daman me, mai aage nikal jata hu
Jindagi hai, jiya chala jata hu

Thursday, July 18, 2013

Bhula to du mai tumhe,
par kya karu tumhari sanso ki un khusbuo ka,
jo abtak mehakti hai meri sanso me.

Monday, July 8, 2013

Mai sochta hu aksar ki usne bhi bhula diya hoga mujhe,
Fir ek bal si parti hai man par . . Usne Bhi ??. . Kya maine bhi ?

Saturday, July 6, 2013

........

Hasino ki gali se roj gujarata hu mai,
par mohabbat karne se darta hu mai .
jo ji chahe to gale laga lu,
surkh hotho ki lali chura lu,
par dil me basne se darta hu mai....
hasino ki gali se roj gujarata hu mai,
par mohabbat karne se darta hu mai

Thursday, July 4, 2013

Meri Mohabbat

kar de na kahi pagal tujhe, meri mohabbat,
mere haushle yu na barha

Wednesday, July 3, 2013

Ishq

Bekarari bahut,
Chain-o-shukun nahi,
Ishq musibate khari karta hai bahut

kasmakas

bepanah khushi, besumar gum bhi
kasmakas me hu, mohabbat karu ya na karu

Monday, July 1, 2013

Jab se tumhe jana hai,Jindagi ko maine jana hai.
Ya, yu kahu, tumhi ko jindagi mana hai.
Sach hai na ?
Ek hi to hain hum,
Bas alag kar deti hai hume hamare khayalat

Wednesday, June 12, 2013

Tutana, bikharna
Fir se banana, sawarna
Shayad khwabo ka yahi naseeb hai

Mai soya tha ki tera khwab aaye,
Tere khwab ne hi mujhe jaga bhi diya

Monday, June 3, 2013

Mai janta hu tum mujhme ho kahi,
Fir bhi murke dekhta hu us rah ko
Jaha se tum ojhal huye the meri nigaho se

kabhi sunana mujhe jab mai khamosh rahu, 

tum wo sab sun paoge jo mai kabhi na keh saka

Monday, May 13, 2013

Jab bhi tasveer banayi tumhe sochke,
Logo ne uska naam "mohabbat" rakh diya

Wednesday, May 8, 2013

Khwaishen hajar hain meri,
Par tumhe khush dekhkar, 

khush rehne ki khwaish hai sabse bari

Thursday, March 21, 2013

dar lagta hai jab tum karti ho maut ki baat, 
mujhe to jina hai sari jindagi bas tumhare sath

Wednesday, February 20, 2013

ek khwab buni hai maine, tumko sochke,
khwabo ka ye mahal ban jayega haqiqat
bas thame rehna tum mera hath