Monday, July 27, 2009

PIYA SAWAN AAYI AB AA JAO

piya sawan aayi, ab aa jao
ab aa bhi jao.
phul khilen hain, bhar aayi hai dali,
par tu nahi to sab lagta hai khali,
badal par baithkar tum aa jao,
piya sawan aayi, ab aa jao----------------

jab jab barasta hai rim-jhim pani,
piya yaad aati hai apni wo kahani,
jab tum the meri bahon me, aur ho jaati thi mai diwani,
hawa ke sath urkar aa jao,
piya sawan aayi, ab aa jao----------------

No comments:

Post a Comment