Sab kuchh to tha jindagi me, nasur-e-bewafai ke siwa, Aaj jindagi muqammal ho gayi
Saturday, July 20, 2013
Jindagi hai, jiya chala jata hu log milte hain ... bichhar jate hain .. kuchh achshi, kuchh karwi yaaden chhor jate hain .. sametke sari yaado ko apne daman me, mai aage nikal jata hu Jindagi hai, jiya chala jata hu
Thursday, July 18, 2013
Bhula to du mai tumhe, par kya karu tumhari sanso ki un khusbuo ka, jo abtak mehakti hai meri sanso me.
Monday, July 8, 2013
Mai sochta hu aksar ki usne bhi bhula diya hoga mujhe, Fir ek bal si parti hai man par . . Usne Bhi ??. . Kya maine bhi ?
Hasino ki gali se roj gujarata hu mai, par mohabbat karne se darta hu mai . jo ji chahe to gale laga lu, surkh hotho ki lali chura lu, par dil me basne se darta hu mai.... hasino ki gali se roj gujarata hu mai, par mohabbat karne se darta hu mai