Saturday, July 6, 2013

........

Hasino ki gali se roj gujarata hu mai,
par mohabbat karne se darta hu mai .
jo ji chahe to gale laga lu,
surkh hotho ki lali chura lu,
par dil me basne se darta hu mai....
hasino ki gali se roj gujarata hu mai,
par mohabbat karne se darta hu mai

Thursday, July 4, 2013

Meri Mohabbat

kar de na kahi pagal tujhe, meri mohabbat,
mere haushle yu na barha

Wednesday, July 3, 2013

Ishq

Bekarari bahut,
Chain-o-shukun nahi,
Ishq musibate khari karta hai bahut

kasmakas

bepanah khushi, besumar gum bhi
kasmakas me hu, mohabbat karu ya na karu

Monday, July 1, 2013

Jab se tumhe jana hai,Jindagi ko maine jana hai.
Ya, yu kahu, tumhi ko jindagi mana hai.
Sach hai na ?
Ek hi to hain hum,
Bas alag kar deti hai hume hamare khayalat

Wednesday, June 12, 2013

Tutana, bikharna
Fir se banana, sawarna
Shayad khwabo ka yahi naseeb hai

Mai soya tha ki tera khwab aaye,
Tere khwab ne hi mujhe jaga bhi diya

Monday, June 3, 2013

Mai janta hu tum mujhme ho kahi,
Fir bhi murke dekhta hu us rah ko
Jaha se tum ojhal huye the meri nigaho se

kabhi sunana mujhe jab mai khamosh rahu, 

tum wo sab sun paoge jo mai kabhi na keh saka