DARPAN दर्पण
(TUMHARE PYAR KA)
Wednesday, September 7, 2011
Socha hai kai bar kar du izhar-e-mohabbat,
par roka hai khud ko is dar se ki kahin wo na na kar de.
Muskil hai labo pe lani teri bat,
par kya karu aankhe to keh deti hai dil ka haal
Monday, August 29, 2011
Mana mai bura hun,
yu haqiqat me na ho na sahi,
mere khwabon me milne aa jaya karna.
Bhul to tum bhi nahi paoge,
yaad karne hi sahi,
mere khyalo me tum aa jaya karna.
Meri bhavnaye hi meri milkiyat hai,
agar bedakhal karna ho to inhe thokar laga dena
Friday, August 5, 2011
Yu to mohabbat na karta kabhi,
tune is kadar dekha mujhe ki khud pe kabu na raha
Ye mohabbat hi hai teri jo rok leti hai rahen,
warna alvida is jindagi ko kai bar hi kiya hai humne
Tuesday, July 12, 2011
Kahan kahan nahi dhundha hai tumko,
par dil ke kone me gumsum baithi harbar mili ho.
Friday, February 25, 2011
Teri khamosiyon me dil ki dharkan thahar jati hai.
Mujhse rutha na karo, meri jaan nikal jati hai.
अश्को के शैलाब को बहाना था मगर
एक अदद तन्हाई भी मयस्सर न हुई !
Wednesday, January 5, 2011
shishe ka dil
Shikwa nahi koi tumse.
Shishe ka dil hi hai mera, tut jata hai.
Newer Posts
Older Posts
Home
Subscribe to:
Posts (Atom)